Read in English  
       
Hyderabad Cyber Scam
Spread the love

Hyderabad: Hyderabad ke LB Nagar area mein rehnay wale ek retired sarkari afsar aur unki biwi ek bade Cyber Scam ka shikar ho gaye jisme unse ₹46.74 lakh rupay ka fraud hua. Dhoka 30 May se 45 din tak chala, jisme fraudsters ne un par human trafficking mein shamil hone ka jhoota ilzam laga kar “digital arrest” ki dhamki di.

Yeh fraud us waqt shuru hua jab ek caller ne apne aap ko telecom department ka afsar batate hue kaha ke unke phone number se judi legal problems hain aur Bangalore police ne unke khilaf complaint file ki hai. Kuch der baad dusra caller “Officer Shiva Prasad” ban kar unhein Bangalore bulane laga. Jab unhone mana kiya ke wo wahan nahi ja sakte, to video call ke zariye unhein “digital tor par arrest” karne ki dhamki di gayi.

Phir unka Aadhaar, PAN, bank aur phone details le li gayi aur kisi ko batane se mana kar diya gaya. Unhein bataya gaya ke unka Aadhaar card ek aise bank account se linked hai jo human trafficking ke mulzim “Sadaqat Khan” se jura hua hai.

Do din tak video call ke zariye farzi pooch taach chali. Phir ek aur aurat ne apne aap ko IPS officer “Navjot Simi” bataya aur kaha ke unhein prove karna hoga ke unke bank accounts mein koi illegal transaction nahi hai. Is wajah se unse kaha gaya ke apni saari amount Reserve Bank ke under ek “temporary account” mein transfer karein.

31 May ko “Officer Rakesh Kumar” ke kehne par pehla ₹11 lakh transfer kiya gaya. Baad mein 3 June se 13 June tak rozana calls aati rahi aur naye naye bahano se paise mangwaye gaye. 23 July tak yeh silsila chalta raha, jab tak unhone apne biwi ke naam par Vijayawada mein ek flat bech kar total ₹46,74,101 rupay transfer nahi kar diye.

Akhirkar jab unhone apne doston se mashwara kiya to poora scam samajh aaya. Iske baad Sunday ko unhone Rachakonda Cyber Crime Police mein shikayat darj karwayi, jiske baad FIR lodge kar ke tahqiqat shuru ho gayi hai.