
Hyderabad: Telangana ke Chief Minister Revanth Reddy ne Thursday ko Union Railways aur IT Minister Ashwini Vaishnaw se mulaqat kar ke Hyderabad aur Telangana ke aham rail aur IT projects ki manzoori mein tezi lane ka mutalba kiya. Is mulaqat mein un ke sath Ministers Uttam Kumar Reddy aur Sridhar Babu bhi shamil thay.
CM ne khas tor par Hyderabad ke gird regional ring rail system ke qayam ka issue uthaya aur is project ko aage barhane ke liye central support ki darkhwast ki. Ye project shehar ke traffic load ko kam karne aur connectivity behtar banane ke liye zaroori samjha ja raha hai.
Is se pehle, Revanth Reddy ne Union Jal Shakti Minister C.R. Patil aur Andhra Pradesh ke CM N. Chandrababu Naidu ke sath bhi mulaqat ki jahan dono riyasaton ke darmiyan ab tak hal na hone wale water disputes par baat hui.
Revanth ka ye Delhi visit siyasi hawalay se bhi ahmiyat ikhtiyar kar gaya hai, jab ke Telangana mein Backward Class reservation policy ke hawalay se behas garam hai. Wazir-e-Aala ke mazeed Union Ministers se aaj mazeed mulaqaton ka imkaan hai.