
Hyderabad: Telangana High Court ne Wednesday ko chand senior IAS officers ko contempt notices jari kiye hain jo December 2023 ke court directive ke bawajood fish seed suppliers ki pending payments clear nahi kar paye.
Ye faisla Justice N.V. Shravan Kumar ne us waqt diya jab court ko yeh maloom hua ke officers na to pehle se jari hukm par amal kar rahe hain aur na hi kisi tarah ka counter ya compliance report file ki gayi hai. Pehle bhi court ne in officials ko final opportunity di thi ke wo implementation report 16 July tak submit karein, magar koi action nahi liya gaya.
Court ne Special Chief Secretary (Animal Husbandry and Fisheries) Sabyasachi Ghosh, Finance Secretary Sandeep Kumar Sultania, Fisheries Commissioner Priyanka Ala, Deputy Director T. Srinivas, aur Nagarkurnool, Wanaparthy, aur Mulugu ke district collectors ko 30 July ko personal tor par High Court mein hazir hone ka hukm diya hai taake wo bata sakein ke unke khilaf contempt proceedings kyu na shuru ki jayein.
Fish seed producers, jaise ke Srimatsya Fisheries Farms, ne court mein yeh petition file ki thi ke 2023–24 period ke dauraan supply ki gayi fish seed ki payment ab tak nahi ki gayi. December mein High Court ne Vigilance Commission ki report ke basis par eligible suppliers ko payment ka hukm diya tha.
Iske bawajood departments ne court ke directives ko nazarandaz kiya jis par lagbhag 11 contempt petitions file ki gayi. 2 July ko court ne ek aakhri mauqa dete hue kaha tha ke 16 July tak compliance report submit ki jaye. Magar Wednesday ki sunwai mein petitioners ke counsel D.L. Pandu ne court ko bataya ke na to payment ki gayi hai aur na hi koi compliance report di gayi.
Justice Shravan Kumar ne iss non-compliance par naraazgi ka izhar karte hue High Court registry ko instructions diye ke sabhi named officials ko contempt notices issue kiye jayein.