
Hyderabad: India Meteorological Department (IMD) ne Telangana ke liye yellow alert jaari karte hue agle 4 din tak moderate se le kar heavy barish aur tez hawaon ki peeshgoi ki hai. Department ke mutabiq, is dauraan hawaon ki raftaar 40 km/h tak jaa sakti hai.
Hyderabad mein agle 2 din tak barish ke silsile jari rahne ka imkaan hai, jisme kai ilaqon mein ruka ruka kar barish hogi. Thursday ko sheher mein dopahar ke waqt mausam khushk tha lekin shaam ko achanak badal chha gaye aur zordar barish shuru ho gayi.
Telangana State Development Planning Society ke data ke mutabiq, 3 baje se 10 baje ke darmiyan Hyderabad ke Uppal mein sabse zyada 8.58 cm barish record hui, uske baad Nacharam mein 7.88 cm aur Mettuguda mein 6.93 cm hui.
City weather officials ne bataya ke agle 2 raaton tak Greater Hyderabad ke mukhtalif hisson mein light to moderate showers ki umeed hai.
Barish ke peesh-e-nazar, Hyderabad Metropolitan Water Supply and Sewerage Board ke MD Ashok Reddy ne field staff ko alert rehne ke liye hidayat di hai.
Riyasat ke kai districts mein bhi barish record hui, jin mein Mancherial, Khammam, Suryapet, Peddapalli, Kumuram Bheem Asifabad, Jayashankar Bhupalpally, Siddipet, Vikarabad, Rangareddy, Medchal-Malkajgiri, Yadadri Bhuvanagiri, Nalgonda, Mahabubabad, Janagaon, Hanamkonda, aur Bhadradri Kothagudem shamil hain.
Uppal (Medchal-Malkajgiri) mein sabse zyada 8.5 cm barish hui, jabke Khammam ke Vemsoor mein 8.3 cm, Mancherial ke Bellampalli mein 7.9 cm, Nacharam mein 7.8 cm, Mettuguda mein 6.9 cm, Khammam ke Madhira mein 6.7 cm, Yadadri ke Narayanapur mein 6.4 cm, aur Suryapet ke Gaddipalli mein 6.1 cm record hui.